top of page

Topic: Hair fall and and remedies



Samay ke sath aur aaj kal ki bhag dodh bhari lifestyle me kise ke pass bhi bilkul bhi waqt nahi hota ki wo apne aap ka dhyan rakh sake sabhi aaj kal paise kamane ke liye to,kahi khud ko aghe dkhane me lage huye hai, jo aashantulit khana , khud ko waqt na de pana, tensen me pura   samaye bitana humari life me bahut se bimariyon ko Janam deta hai sath he sath baalo ka jhad ke girna, patla hona, samye se pahle safed ho jana jaise samasyaon ko

Janam deta hai.

             Abhi ke samaye me sab se badi pareshani hai baalo ka jhadna , guchhe ke roop me jhad Jana , ye preshani sirf ladkiyo me nahi ho Rahi hai, aaj kal sabhi varg ,sabhi aadami aurat,budhe, bacche is pareshani ka samna kar rahe hai .

 

Kya hota hai hair fall?

 

Hamare Baal bilkul usi tarah kimti hai jis tarah se hamare jewar. Baalo ka jhadna koi sadharan samasya nahi hai. Ise Nazar aandaz karne se yahi samamshya aaghe chal kar ganjapan, patle Baal chote kamjor Balo jaise preshani ko janam deti hai.

         Baalo ka jhadna ko hum alopeshiya bhi khate hai, ye humari sarir ke kise bi bhag me ho sakta hai, sar ki twacha se baalo ka jhadna ganjapan kehlata hai.

                          Ganjapan ki samasya ka karan bahut sare hai jaise ajkal bazar me milne wale 2000 se bhi adhik product, anuwanshik  gene me badlao ka ana, aa santulit bhojan, chemical products.

         Waise to hamare roj ki life me 20-30 baal roj jhadte hai or uski jagah naye Baal aajate hai,per is aanupat se jada Baal ka jhadna ganjepan ko janam deta hai.

    Bahut se sodh se pata chala hai ki Baal girne ke bahut se karan ho sakte hai aur baalo ka jhadna kai prakar ke ho sakte hai .

●     Aushadhi ke dush prabhav se baalo ka jhadna sampurn sar me ho sakta hai.

●     Chikitsak bimariyon ke lakshan ho bhi ho sakte hai jaise theyorid, sex harmoy ke ashantualn se, mahilao me masik Dharm ki wajah se.

●     Khopdi ki chamdi me phaphund ka jaise vishesh prakar ke sankraman se baalo ka jhadna , aam tor par balo ka jhadna hypertension ke karan bhi hota hai.

●     Vanshanugat ganjapan purishi me jis prakar se Baal jhadte rahte ha maang ke pass se Baal ka jhadna , kishor avastha me aarambh ho jata hai .

●     Aylopeshiya waise to pure sarir ko prabhavit kar sakta hai , per iske lakshan sar ke baalo me jada dekhne ko milte hai , hala ki bujurgo me aylopeshiya jada paya jata hai,lekin bachhi me bhi baalo ke adhik jhadne ki shikayat ho sakti hai.

 

Kya karan ho sakte hai hair fall ke?

Waise to hair fall ke bahut se karan paye jate hai ,per aam tor per baalo ka jhadna ,poshak tatva ki kami , rushi, chemical products, pregnancy, adhik matra me dawaiyo ka sewan. Balo ke girne ke karan Baal jhadne ki sabse aam wajho me tanav , poshak tatvo ki kami Rusi , skelp me extra ayal,  bimari aur thyroid imbalance hai. Iske alawa balo ko colour ya bleach karna , comical treatment jaise straightening, paming aadi . Menopaz ya pregnancy ke bad hormonal imbalance bhi balo ke jhadne ka karan ho sakta hai.

 

 

 

 

●     Adhik tanav bhari dincharya:  baalo ka jhadna  hamre manshik paristhiti per bhi nirbhar karta hai , waise sodh se paya gaya hai ki tanav lene se telojen afevuyanm namak harmon banta hai jo hair fall ko badhawa deta hai.

                   Jitna jada hum tanav me control karenge  is samasya   se nijat paya ja sakta hai, kyoki tanav se immunity , mood swing  ,jaise pareshani aati hai .

                  Tellozen alluvium ka hamare sarir me bane ka mukhya karan janam dena, surgery, bimar hona jaise bhavnatmak tanav ka anubha karne se hota hai,  hair falish ka ek hissa tellozen alluviumwali stage me pahuchne se hair fall ki samasya aati hai.

●     Poshaktav ki kami:  Baalo ke jhadne me mahavpurn bhumika hoti hai poshaktatv ke, baalo ka jhadna vitamin-A, vitamin-E  paryapt matra me biotin ka na hona ,vitamin-C, ,iron , zinc jaise poshak tatv ki kami se hote hai.

                          Phal sabjiyo ka sevan na karne se hamre sarir ke liye iron ka awshoshn karna kathin ho jata hai ,jaise ki hume malum hai , iron ka hair fall me bahut jada adhik mahav paya jata hai.

●     Rusi ka hona:  Balo me rusi ka hona bhi balo ke jhadne ka karan hota hai ,per hum ise pratyaksh roop se dousi nahi man saktehai kyoki rusi balo ko sidhe hani na pahucha kar  humare sar ki tavcha par parat jamaleti hai jise milne ale poshak

●     jenetix : Hum ise endrojantik elopesia kaha jata hai - yah laxan aap ke mata pita se prapt jameen se trigar hota hai vastav me yah kaise virasat me mila hai vaigyanik roop se yaah spast nahi hai , fir bhi yeh pariwaro me chalta hai , isliye yadi apke nikat sambandhi ganje ho raha hai , to apke bhi iske hone ki adhik sambhavna hai.

●     Pregnancy ke baad: pregnancy ke baad maao ka sharir bahut kamjor ho jata hai,jiska asar unke baalo me me bhi dekha Jaa sakta hai , maa ko Jin poshak tatv ki avashyakta hai wo sare tatv wo apne bache ko dudh me de deti hai , or delivery ki prakriya me jo blood ,iron,nikalta hai use sarir me pura hone me Kam se Kam 2saal ka waqt lgta hai jise unme balo ka jhadna adhik dekha jata hai, ek aurat ke liye uske Baal achha hona uski sundarta ko badha deta hai isliye ,maa ko is samasya se bachne ke liye pregnancy ke doran maa or bachhe ko healty rakhne ke liye unhe folic acid or iron ki dawaiya de jati hai jo unko swasth rakhti hai.

●      

 

 

 

 

●     Medical issue :

Asthaiye balo ka jhadna ek medical samsya ka sanket ho sakta hai , jaise anaemia ya thyroid ki samasya. Protein aur ayran ki kami wale aahar bhi apke balo ko patla kar sakta hai ,jiske mukhya karan apke baalo ka jhadna hoga.

 

Balo ko jhadne se rokne ke upay :

 

1- Pyaj ke rass aur pyaj ke Teel ke bare me suna hi hoga , yah balo ko jhadne se rokta hai aur unki jado ki majbut karta hai . Pyaj ka hair oil bhut hi prabhavshali hai jo apke balo ko jhadne se rokta hai aur apke balo ko ghana aur majboot banata hai . Yah prakritik tatvo se bana hai jiska koi side effect nhi hota hai. Yah aap ke balo k liye ekdum thik hai chahe apke oily aur dry kiu na ho ise purush aur mahila dono upyog kr sakte hai .

 

2- Balo ki Tel se masaj karna bahut jruri hai , balo aur sar ki theek tarah se Tel se malish karne se balo ke room me khoon ka prwah badh jata hai. Is sae balo ki jad majbut hoti hai jis say balo ka jhadna dhire dhire kam hone lagta hai.

 

3- Amla Ka mask: Sehat ke alawa balo ke jhadne ki samsya ko rokne ke liye awla kaffi asardaar hai . Ye na kewal balo ki growth karta hai balki balo ko majbuti bhi deta hai . Iske liye Bass aap awale ke powder me shikakai or reetha ko bhiga kar uska paste bana le is paste ko balo par lagaye aur sukhne tak rehne de , iske bad balo ko pani se dho le , kuch hi dino me apko iska asar evam farq dikhne lagega.

 

4- Methi ka paste:Methi bhi hair fall ko kam krne me kafi asardar hai. Methi me anti aksident hote hai jo ki balo ke vikas ko badhane me madadgar hai. Iske liye hume Methi ke Dano ko raat me bhigo kar rakhna chaiye fir agle din shubha un Dano ko pish kar usme ek chamach nimbu aur thoda sa nariyal ka Teel mila kar us paste ko balo ki jado me lagaye masaj krte hue lagaye aur sukhne tak ise lage rehne de , aisa kuch dino tak kare uske bad apko iska asar kuch dino me dikhne lagega .

 

5- Aloe Vera Gel: sehat ke sath sath balo ki majbuti ke liye bahut labhkari hai jo balo ke jhadne ko rokta hai , iske liye elovera ko katkar uske pati ke bich me se uske gude ko nikal kar use balo ki jado me laga kr halka masaj kre , uske kuch der bad use pani se dho le aisa kuch dino tak lagatar kre kuch dino me balo ke jhadne se apko rahat milegi .

 

6- Ayurvedic Shampoo:  Aaj  kal bazar me bahut se ayurvedic shampoo uplabdh hai , jo baalo ke jhadne me bahut kargar sabit hote hai , in shampoo me jo bhi remedies istemal ki jati hai, sabhi remedies ke side effect hone ke chance bahut kam hote hai, jaise amala, shikakai, retha, methi, karat, coconut oil.

 

7- gudhal ke phool ka paste: Gudhal ke phool ke bahut se fayde hai unme se ek fayda hai baalo ko jhadne se rokne ka ,isme paye Jane wala  fluenoiud  or amino acid hote hai jo baalo ke growth ke liye kaffi kargar sabit hote hai , kash tor per to patle baalo ke liye ye ram baad ke saman hai ,safed baalo ki kaala karne me bhi iski mukhya bhumika hoti, surya se hone wali haniya ko dur karta hai, ise lgane ka tarika, nani dadi ke nuskhe se hame pata chalta hai , iska mask banane ke liye is phool ke pattao ko achhi tarha se peesh le jiye or baalo me turnt lagane se ,or 30mint bad shampoo kar karne se baalo ko bahut he fayde hote  hai sath hi balo ka girna bhi band ho jata hai sath hi baal ki motai badhane me bhi labhkari hai.

 

8-Chawal ka pani:  Chawal ke  Pani ka istemal bhi hum baalo ke jhadne me istemal kar sakte hai, isme paye Jane wala inositol or carbohydrates baalo ke damage ko rokta hai or pH value baalo ke pH value ke barabar paya jata hai jise uske tutne or jhadne se rokne me madad karta hai , chawal ke Pani me paye Jane wala vitamin B or vitamin E baalo ko poshak tatv deta hai or healthy hair ko badhava deta hai, ise rusi ki pareshani bhi dur hoti hai ,jo baalo ke jado ko majbuti deti hai or Baal girna Kam ho jate hai .

Ise istemal karne ke liye hum amla , methi, or rojmerry ka oil use kar sakte hai . Chawl me Milne wala acid amla ke vitamin C k sath baalo ke rom me pahuchta hai or baalo ko majbuti pradan karta hai.

           Methi or chawal ke daano ko raat bhar Pani me bhigo kar subah uska paste bana kar baalo me lagane or 30mint bad thande pani shampoo se dhone se baalo ka jhadna kam hota hai or chamakdar baal bhi milte hai . Is mask ko ek hafte me 2bar balo me lagaya ja sakta hai.

 

9- Roj Merry oil:  Roj merry oil ka istemal hum balo ke jhadne me kar sakte hai , mana jaata hai ki roj merry oil skin me blood ke pravah ko badhata hai or baalo ko lamba karne me madadgar hota hai.

 

10-vitamin E capsule: balo ko healthy aur jhadne se bachane ke liye hum market me Milne Wale vitamin E ke capsule ka istemal kar sakte hai , baalo ko ye paryapt matra me Vitamin E pahuchta hai sath he sath balo me chamak bhi aate hai.

Iska istemal hum coconut oil ke sath, pyaj ke ras ke sath dahi ke sath kar sakte hai ,ise lagane ke liye coconut oil ko thoda gunguna kar ke usme ek capsule Dale or ungliyon ki madad se balo ki jado me lage uske 3-4 ghante bad thande pani or shampoo se dhone se hame bahut he behtarin result milta hai or chamakdar Bal ko poshak tatv bhi milte hai.

 

11-Dahi ke fayde balo me : balo me taze dahi lagne se balo ko bhi bahut jada fayda hota hai ise balo ka jhadna km hota hai,isme anti fungal tatv paye jate hai jo balo ki jado me hone wale fungal se bachata hai sath he majbuti pradan karta hai.

     Iska istemal hum balo me nimbu ke ras ke sath aloevera gel ke sath or vitamin E ki capsule ke sath kar sakte hai. Sabse phele ek katori me taji dahi le ab usme thoda coconut oil daale or 3-4 boond nimbu ka ras dalen paste ko achi tarah se Mila kar ungliyon ki madad se halke hatho se balo ki jado me lagaye or 30-40 mint bad thande pani se dho de ,,is mask ke behtarin result ke liye aap iska istemal aap hafte me 2bar kar sakte hai.

 

 

 

 

 

 

12- Brahmi ka podha: Brahmi aaj se he nahi Kai salo se Kiya ja rha hai ise hum dawai ke roop me bhi dekh skte hai shardiyo me Kai bimariyo se Hume bachte aaya hai, iske alawa ye lambe ,ghane, chamkdar balo k liye ayurvedic upay ke roop me dekha ja sakta hai,brahmi anugraha jadi booty mana jata hai , brahmi ka sampurn podha oshadhi ke roop me kaam aata hai ,iske rojana upyog me lane se balo ka girna or naye Bal aana suru ho jate hai .Ise balo me lagnae se tanav ir bechani bhi dur hoti hai. Ise lagane ke liye uski jaado ko olive oil me bhigo kar kise kacch ke jaar me rakh ke iska istemal rojana balo me kiya ja sakta hai,iske behtreen parinam milte hai balo ki samasya me . aaj kal bazar me brahmi ke capsule bhi milne lage hai jo ashani se hum istemal kar sakte hai.

 

13- Shikakai ka mask :  Iska Istemal hum amla ke powder ke sath karte hai,isme paye Jane Wale antioxidants humare balo ko healthy banata hai or unka jhadna b rokta hai .ye balo aur twacha me pai Jane wali gandgiyon ko dur karta hai ,rom ko kholta hai jise naye Baal aane ne madad milti hai .iska istemal powder ke roop me amla or ritha ke sath kiya Jaa sakta hai.

       Ise hum Ghar par hai khud se bahut achi gharelu shampoo tayar kar sakte hai . Ise banane ke liye amla powder, shikakai powder, or reetha powder aache Mila kar raat bhar Pani me bhigo de or subha paste ko achi tarha Mila kar balo me lagye or 30 min bad ise sadharan pani se dho de aap dekhenge ki  Bina kise shampoo ke balo se jhag aa raha hai or Bal achi tarha se dhul rahe hai. Or iska chamatkari  parivartan aap balo me asani se dekh sakte hai , sath he yaha balo ko majboot banata hai or use lamba or healthy hone ne bhi madad karta hai.

 

Upar diye  Hui sari remedies ko hum Ghar per he tyar kar skte hai jiske koi b side effects nahi hote hai,sath he sath ye ashani se Hame humare aas paas hai mil jate hai . Or in me koi bhi chemical products na hone se balo ko nuksan bhi nahi pahuchta hai, or hum Kam samay me apne balo ko girne se or ganjapan ki samasya ko dur kar sakte hai or apne balo ko healty bana skte hai

 

29 views

Recent Posts

See All
bottom of page